Thursday, February 4, 2010

Codain... :) (Ek Trainee Par Ek Kavita)


Ek Trainee Tha Anjana Sa
Coding Karne Se Woh Darta Tha

Copy Paste Karke Idhar Udhar Se
Pooch Ke Coding Kiya Karta Tha

Choree Choree Chupke Chupke
Discussions Mein Soya Karta Tha

Jab Delivery Honee Hotee Thee
Raat Raat Bhar Jagta Tha

Kuch Aata Nahee Tha Usko
Jane Kaise Deliver Karta Tha

Jab Bhee Milta Tha Kisee Doosre Developer Se
Unse Poocha Karta Tha

Coding Kaisee Hotee Hai
Yeh Coding Kaisee Hotee Hai

Aur Voh Developers
Bas Yahee Kah Paate The

Ankhe Khulee Ho Ya Ho Band
Deedar Code Ka Hota Hai

Kaise Kahoo Mai O Yaro Yeh Code
Kaise Hota Hai

Kya Hai Yeh Jadoo Hai Koyee Code Jo Chal Jata Hai
Fix Karke Bugs Hazaro Deliver Ho Jata Hai

Door Kahee Onsite Per Hote Hai Yeh Sare Faisle
Kaun Jane Koyee Bug Kab Kaise Kaha Mile

Jiske Naseeb Mein Ho Likha
Acceptance Useeka Hota Hai

Kaise Kahoon Mai O Yara Yeh Code
Kaise Chalta Hai

No comments: