Wednesday, October 15, 2008

Poem for Software People

Hi...
Software Logo..
Krupaya thodi der ke liye kavita ka anand uthay...
Code Kya Kehta Hai Mera Kya Main Bataoon
Tester Samjhega Shayad Main Pagal Hoon
Code Kya Kehta Hai Mera Kya Main Bataoon
PM samjhega ki Shayad Main genius Hoon

Dil Karta Hai Apni Seat par khada ho Jaoon
Chilla Chilla Ke Main Ye Sabse Kehdoon
Code On… Hai Ye Client Ka Ishaara
Code On… Requirement fullfill kar sara
Code On….Onsite Offshore ka tamashaa
Code On….yehi IT ki zindagi hai mere yaraa…

Dil Karta Hai VNET Par Zor Se Gaoon
Aur Apne outlook Ki sab log mail Kholen
Phir Main Aise Josheelay mails bahaaoon
Mere mails Ko padkar Sab Ye samjhen
Code On… Hai Ye Company Ka Ishaara
Code On… Client ko khush karna hai yaaraa
Code On….Late night ruk ja tu
Code On….yehi IT ki zindagi hai mere yaraa…

Jaise Code karne Ko Dil Chahe code kar Waise Tu
Meri To Hai Bas Ye Raaye Ki
Apne task ko time par Poora Karle Tuuuuuu

Code On… development cycle ka ishara
Code On… phases fullfill kar sara
Code On….dead lines meet karne ka tension
Code On….yehi IT ki zindagi hai mere yaraa…

Code On… Hai Ye Company Ka Ishaara
Code On… Client ko khush karna hai yaaraa
Code On….Late night ruk ja tu
Code On….yehi IT ki zindagi hai mere yaraa…

No comments: